Kahaani likhni hai sochta hu, lagta bhi hai badiya vichaar hai
Gham bas ye hai ki soch ke aage gaadi badh nahi rahi hai
Aisa nahi hai ki vishayo ki koi kami hai
Par aisa zarur hai ki maine kahaani kabhi pehle likhi nahi
Toh lagta hai kaise karu shuruwaat
Lekin ye bhi nahi lagta ki kar nahi paauga
Umeed hai ki jald hi dimaag se kaagaz ka safar ek kahaani tay karegi