Main kabhi idhar hoon
Main kabhi udhar hoon
Sab chahte hain main har jagah rahoon
Par kitni bhi koshish kar lo, main ek baar mein sirf ek jagah hoon
Jis jagah hoon, usmein toh istemal kar lo mujhe
Itni jaldi kya hai tumhein, samay toh do mujhe thoda apna jaadu phailane ko bhi
Nahin toh baad mein bologe main bewakoof hoon
Main bewakoof nahin, tum dhakkan ho jo mujhe bandar bana rahe ho
Kabhi yeh daali pe toh kabhi woh daali pe
Kripa karo mujh par thodi, itna overload ab mujhse bardaasht hona mushkil ho raha hai
Ek baar mere dost, ek jagah thoda ruk kar toh dekho.